Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aane ki paDi hai kabhi jaane ki paDi hai

Zebunnisaa Zaibii

aane ki paDi hai kabhi jaane ki paDi hai

Zebunnisaa Zaibii

MORE BYZebunnisaa Zaibii

    aane paḌī hai kabhī jaane paḌī hai

    is dil ko faqat milne milāne paḌī hai

    bādal bhī lagātār haiñ chhā.e hue is par

    aur chāñd ko sūrat bhī dikhāne paḌī hai

    lāsheñ bhī paḌī haiñ yahāñ chīḳheñ bhī bahut haiñ

    is vaqt bhī logoñ ko ḳhazāne paḌī hai

    ik baar use maiñ ne faqat jaan kahā thā

    ab us se mujhe jaan chhuḌāne paḌī hai

    vo kal shikārī hai use pal ḳhabar kyā

    jangal meñ use ghaat lagāne paḌī hai

    sab chor luTere haiñ yahāñ kaun valī hai

    aise meñ bhī 'zebī' ko zamāne paḌī hai

    aane ki paDi hai kabhi jaane ki paDi hai

    is dil ko faqat milne milane ki paDi hai

    baadal bhi lagatar hain chhae hue is par

    aur chand ko surat bhi dikhane ki paDi hai

    lashen bhi paDi hain yahan chiKHen bhi bahut hain

    is waqt bhi logon ko KHazane ki paDi hai

    ek bar use main ne faqat jaan kaha tha

    ab us se mujhe jaan chhuDane ki paDi hai

    wo kal ka shikari hai use pal ki KHabar kya

    jangal mein use ghat lagane ki paDi hai

    sab chor luTere hain yahan kaun wali hai

    aise mein bhi 'zebi' ko zamane ki paDi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now