Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aane wale lamhon ki raushni ko likhna hai

Sajid Rais Warsi

aane wale lamhon ki raushni ko likhna hai

Sajid Rais Warsi

MORE BYSajid Rais Warsi

    aane vaale lamhoñ raushnī ko likhnā hai

    ek na.ī ibārat meñ zindagī ko likhnā hai

    bolne lageñ apne ghar ke sab dar-o-dīvār

    jo sunā.ī de aisī ḳhāmushī ko likhnā hai

    ek hasīn bachche kyā hasīn ḳhvāhish hai

    chāñd taraf se ḳhat chāñdnī ko likhnā hai

    ek do koshish se vaqt kaise badlegā

    apne vaqt qismat ham sabhī ko likhnā hai

    apnī shaḳhsiyat āḳhir kyoñ asar nahīñ rakhtī

    aaj apne andar is kamī ko likhnā hai

    lafz lafz ho jis phuul tarah 'sājid'

    aisī ḳhushbuoñ vaalī shā.irī ko likhnā hai

    aane wale lamhon ki raushni ko likhna hai

    ek nai ibarat mein zindagi ko likhna hai

    bolne lagen apne ghar ke sab dar-o-diwar

    jo sunai de aisi KHamushi ko likhna hai

    ek hasin bachche ki kya hasin KHwahish hai

    chand ki taraf se KHat chandni ko likhna hai

    ek do ki koshish se waqt kaise badlega

    apne waqt ki qismat hum sabhi ko likhna hai

    apni shaKHsiyat aaKHir kyon asar nahin rakhti

    aaj apne andar ki is kami ko likhna hai

    lafz lafz ho jis ka phul ki tarah 'sajid'

    aisi KHushbuon wali shairi ko likhna hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now