aankh bharte hi chha gae baadal
aañkh bharte hī chhā ga.e bādal
mere dil meñ samā ga.e bādal
aaj phir se nahīñ huī bārish
bas dilāsa dilā ga.e bādal
is baras bhī na lauTā harjā.ī
is baras bhī rulā ga.e bādal
mere hisse meñ dhuup thī pahle
aap aa.e to aa ga.e bādal
bhīgte vaqt aa gayā ronā
yaad sab kuchh dilā ga.e bādal
mere hisse ke is baras 'sohil'
kis ke hisse meñ aa ga.e bādal
aankh bharte hi chha gae baadal
mere dil mein sama gae baadal
aaj phir se nahin hui barish
bas dilasa dila gae baadal
is baras bhi na lauTa harjai
is baras bhi rula gae baadal
mere hisse mein dhup thi pahle
aap aae to aa gae baadal
bhigte waqt aa gaya rona
yaad sab kuchh dila gae baadal
mere hisse ke is baras 'sohil'
kis ke hisse mein aa gae baadal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.