Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh jab saqi pe Dali jaegi

Safdar Mirzapuri

aankh jab saqi pe Dali jaegi

Safdar Mirzapuri

MORE BYSafdar Mirzapuri

    aañkh jab saaqī pe Daalī jā.egī

    phir tabī.at kyā sañbhālī jā.egī

    chuTkiyāñ lene vo karte haiñ mashq

    shoḳhiyoñ meñ jaan Daalī jā.egī

    kyoñ pareshāñ kar rahī hai baaġh meñ

    bū-e-gul tujh se sabā jā.egī

    ham idhar haiñ sāmne hai aa.ina

    aañkh kis kis par nikālī jā.egī

    phuul kaise mar-miToñ qabr par

    ḳhaak bhī tum se na Daalī jā.egī

    dekhne ko hai bas saaqī aañkh

    mai na is sāġhar meñ Daalī jā.egī

    dam nikal jā.egā hasrat se mirā

    teġh qātil jo ḳhālī jā.egī

    dil agar TuuTā to phir be-kār hai

    zulf bigḌegī banā jā.egī

    kyoñ gale miltī nahīñ vo teġh-e-nāz

    iid kyā ab bhī ḳhālī jā.egī

    koī kahtā hai ki 'safdar' ye ġhazal

    nuur ke sāñche meñ Dhālī jā.egī

    aankh jab saqi pe Dali jaegi

    phir tabiat kya sanbhaali jaegi

    chuTkiyan lene ki wo karte hain mashq

    shoKHiyon mein jaan Dali jaegi

    kyon pareshan kar rahi hai bagh mein

    bu-e-gul tujh se saba li jaegi

    hum idhar hain samne hai aaina

    aankh kis kis par nikali jaegi

    phul kaise mar-miTon ki qabr par

    KHak bhi tum se na Dali jaegi

    dekhne hi ko hai bas saqi ki aankh

    mai na is saghar mein Dali jaegi

    dam nikal jaega hasrat se mera

    tegh qatil ki jo KHali jaegi

    dil agar TuTa to phir be-kar hai

    zulf bigDegi bana li jaegi

    kyon gale milti nahin wo tegh-e-naz

    id kya ab ki bhi KHali jaegi

    koi kahta hai ki 'safdar' ye ghazal

    nur ke sanche mein Dhaali jaegi

    Source:

    Deewan-e-Safdar Mirzapuri (Pg. 226)

    • Author: Safdar Mirzapuri
      • Publisher: Azhar Lakhnawi
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now