Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh jab tar na thi dil shikasta na tha zindagi mein thi lazzat kahan dosto

Rashidullah Khan Jauhar

aankh jab tar na thi dil shikasta na tha zindagi mein thi lazzat kahan dosto

Rashidullah Khan Jauhar

MORE BYRashidullah Khan Jauhar

    aañkh jab tar na thī dil shikasta na thā zindagī meñ thī lazzat kahāñ dosto

    vo to kahiye ki soz-e-jigar mil gayā ḳhūn-e-dil ho gayā nā-gahāñ dosto

    tum to dīvāna Thahrā rahe the hameñ de rahe the dushnām-e-dīvāngī

    tīrgī meñ charāġhāñ ye kis ne kiyā kis ne badlā chaman samāñ dosto

    umr kaliyoñ kitnī jo batlā sakeñ kis ke ḳhūn-e-jigar se hai husn-e-chaman

    ḳhāk-e-gulshan se pūchho bahāroñ meñ hai kis ke ḳhuuñ se ye gulkāriyāñ dosto

    jab nasīm-e-sahar zabānī sunī merī rūdād-e-ġham sahn-e-gulzār meñ

    zabt shabnam se aañsū na phir ho sake qalb-e-gul ho gayā ḳhūñ-chakāñ dosto

    kis qadar ham ne khaa.e haiñ tīr-e-sitam gardish-e-vaqt ke kyā ginā.eñ karam

    un dāman chhuTā ḳhūn-e-armāñ huā fasl-e-gul meñ jalā āshiyāñ dosto

    kaise TuuTā hai dil kis ne toḌā hai dil sāneha kis tarah ye huā rūnumā

    yuuñ na rah rah ke chheḌo ḳhudā ke liye mohtaram sāthiyo mehrbāñ dosto

    chaak siine meñ apne bhī kuchh kam na the ham ne zaḳhmoñ lekin numā.ish na

    ye alag baat hai misl-e-gul ham rahe gulsitāñ meñ tabassum-fashāñ dosto

    jin se milne ko betāb rahte the ham un se ḳhalvat meñ sāmnā ho gayā

    kis ne dekhā unheñ kaun un se milā aa ga.ī be-ḳhudī darmiyāñ dosto

    baat kyā hai hameñ bhī to ho kuchh ḳhabar kyoñ vo ghar se nikaltā nahīñ āj-kal

    zikr kis shaḳhs aaj ye chhiḌ gayā kaun 'jauhar' vo sheva-bayāñ dosto

    aankh jab tar na thi dil shikasta na tha zindagi mein thi lazzat kahan dosto

    wo to kahiye ki soz-e-jigar mil gaya KHun-e-dil ho gaya na-gahan dosto

    tum to diwana Thahra rahe the hamein de rahe the na dushnam-e-diwangi

    tirgi mein charaghan ye kis ne kiya kis ne badla chaman ka saman dosto

    umr kaliyon ki kitni jo batla saken kis ke KHun-e-jigar se hai husn-e-chaman

    KHak-e-gulshan se puchho bahaaron mein hai kis ke KHun se ye gulkariyan dosto

    jab nasim-e-sahar ki zabani suni meri rudad-e-gham sahn-e-gulzar mein

    zabt shabnam se aansu na phir ho sake qalb-e-gul ho gaya KHun-chakan dosto

    kis qadar hum ne khae hain tir-e-sitam gardish-e-waqt ke kya ginaen karam

    un ka daman chhuTa KHun-e-arman hua fasl-e-gul mein jala aashiyan dosto

    kaise TuTa hai dil kis ne toDa hai dil saneha kis tarah ye hua runuma

    yun na rah rah ke chheDo KHuda ke liye mohtaram sathiyo mehrban dosto

    chaak sine mein apne bhi kuchh kam na the hum ne zaKHmon ki lekin numaish na ki

    ye alag baat hai misl-e-gul hum rahe gulsitan mein tabassum-fashan dosto

    jin se milne ko betab rahte the hum un se KHalwat mein samna ho gaya

    kis ne dekha unhen kaun un se mila aa gai be-KHudi darmiyan dosto

    baat kya hai hamein bhi to ho kuchh KHabar kyon wo ghar se nikalta nahin aaj-kal

    zikr kis shaKHs ka aaj ye chhiD gaya kaun 'jauhar' wo shewa-bayan dosto

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 179)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now