Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh ke sahil par aate hi ashk hamare Dub gae

Syed Zia Alvi

aankh ke sahil par aate hi ashk hamare Dub gae

Syed Zia Alvi

MORE BYSyed Zia Alvi

    aañkh ke sāhil par aate ashk hamāre Duub ga.e

    ġham sāvan itnā barsā saare sahāre Duub ga.e

    is ko khel kaheñ qismat ham dariyā sāzish

    tūfānoñ se bach nikle to aa ke kināre Duub ga.e

    jazba-e-mohabbat ye to batā kab aa.egā aane vaalā

    raat simaTtī jaatī hai aur chāñd sitāre Duub ga.e

    nīl-gagan par uḌte panchhī lauT ke aa ghar apne

    raat āñchal lahrāyā hai din ke nazāre Duub ga.e

    dariyā ke vo paar hue haiñ chāhat se jo duur rahe

    pyaar kashtī khene vaale sab bechāre Duub ga.e

    un par kuchh paiġhām likhe the jo tujh se vābasta the

    uḌte uḌte duur ufuq meñ jo ġhubbāre Duub ga.e

    us ne to ham ko 'ziyā' dariyā meñ Dubonā chāhā thā

    lekin the jo saath hamāre vo bhī saare Duub ga.e

    aankh ke sahil par aate hi ashk hamare Dub gae

    gham ka sawan itna barsa sare sahaare Dub gae

    is ko khel kahen qismat ka ya hum dariya ki sazish

    tufanon se bach nikle to aa ke kinare Dub gae

    jazba-e-mohabbat ye to bata kab aaega aane wala

    raat simaTti jati hai aur chand sitare Dub gae

    nil-gagan par uDte panchhi lauT ke aa ja ghar apne

    raat ka aanchal lahraya hai din ke nazare Dub gae

    dariya ke wo par hue hain chahat se jo dur rahe

    pyar ki kashti khene wale sab bechaare Dub gae

    un par kuchh paigham likhe the jo tujh se wabasta the

    uDte uDte dur ufuq mein jo ghubbare Dub gae

    us ne to hum ko hi 'ziya' dariya mein Dubona chaha tha

    lekin the jo sath hamare wo bhi sare Dub gae

    Source:

    Qaus-e-Quzah (Pg. 72)

    • Author: Syed Zia Alvi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Syed Zia Alvi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now