Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga

Ghayas Mateen

aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga

Ghayas Mateen

MORE BYGhayas Mateen

    aañkh putlī meñ sūraj sar meñ kuchh saudā ugā

    pāniyoñ meñ surḳh paude dhuup meñ saayā ugā

    āsmāñ bhiiḌ meñ to is liye sochā gayā

    is zamīñ chhātiyoñ se nuur chashma ugā

    niiñd meñ chalne aadat ḳhvāb meñ likhne fan

    ek jaisī baat hai to ātish-e-naġhma ugā

    maiñ ne apnī donoñ āñkhoñ meñ ugaa.e haiñ pahāḌ

    terī āñkhoñ meñ samundar thā vahāñ sahrā ugā

    sabza-e-begāna ban kar liyā to kyā jiyā

    ḳhud ko bo kar is zamīñ se ik nayā chehrā ugā

    dhuup jaise qahqahe haiñ ret jaisī baat hai

    agar ġhavvās hai to ret meñ dariyā ugā

    ye zamīñ būḌhī hai us ko piiTh se apnī utaar

    āsmāñ ko jeb meñ rakh le na.ī duniyā ugā

    ham to ḳhud iz.hār haiñ apne zamāne 'matīn'

    bujh ga.e āvāz ke sho.ale nayā lahja ugā

    aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga

    paniyon mein surKH paude dhup mein saya uga

    aasman ki bhiD mein to is liye socha gaya

    is zamin ki chhatiyon se nur ka chashma uga

    nind mein chalne ki aadat KHwab mein likhne ka fan

    ek jaisi baat hai to aatish-e-naghma uga

    main ne apni donon aankhon mein ugae hain pahaD

    teri aankhon mein samundar tha wahan sahra uga

    sabza-e-begana ban kar ji liya to kya jiya

    KHud ko bo kar is zamin se ek naya chehra uga

    dhup jaise qahqahe hain ret jaisi baat hai

    tu agar ghawwas hai to ret mein dariya uga

    ye zamin buDhi hai us ko piTh se apni utar

    aasman ko jeb mein rakh le nai duniya ka uga

    hum to KHud izhaar hain apne zamane ka 'matin'

    bujh gae aawaz ke shoale naya lahja uga

    Source:

    Zeena Zeena Raakh (Pg. e-95 p-101)

    • Author: Ghayas Mateen
      • Edition: 1980
      • Publisher: Hyderabad Literary Form
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now