Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh kya gham mein tere nam si hui jati hai

Zafar Sambhali

aankh kya gham mein tere nam si hui jati hai

Zafar Sambhali

MORE BYZafar Sambhali

    aañkh kyā ġham meñ tire nam huī jaatī hai

    zindagī sho.ala thī shabnam huī jaatī hai

    badle badle vo nazar aane lage haiñ jab se

    un ko paane talab kam huī jaatī hai

    kyā mohabbat hai yahī jab se tujhe dekhā hai

    ik ḳhalish siine meñ paiham huī jaatī hai

    jab se is dil ko ġham-e-yār milā hai yaaro

    zindagī aur bhī mohkam huī jaatī hai

    aaj phir dil ne liyā hai tirī yādoñ asar

    aaj phir aañkh mirī nam huī jaatī hai

    mere hāthoñ ne sikhāyā thā sañvarnā jis ko

    aaj vo zulf bhī barham huī jaatī hai

    jab se vo mere tasavvur meñ lage haiñ aane

    merī har shaam shab-e-ġham huī jaatī hai

    jab se ulfat asar hone lagā hai us par

    us hālat bhī 'zafar' ham huī jaatī hai

    aankh kya gham mein tere nam si hui jati hai

    zindagi shoala thi shabnam si hui jati hai

    badle badle wo nazar aane lage hain jab se

    un ko pane ki talab kam si hui jati hai

    kya mohabbat hai yahi jab se tujhe dekha hai

    ek KHalish sine mein paiham si hui jati hai

    jab se is dil ko gham-e-yar mila hai yaro

    zindagi aur bhi mohkam si hui jati hai

    aaj phir dil ne liya hai teri yaadon ka asar

    aaj phir aankh meri nam si hui jati hai

    mere hathon ne sikhaya tha sanwarna jis ko

    aaj wo zulf bhi barham si hui jati hai

    jab se wo mere tasawwur mein lage hain aane

    meri har sham shab-e-gham si hui jati hai

    jab se ulfat ka asar hone laga hai us par

    us ki haalat bhi 'zafar' hum si hui jati hai

    Source:

    Shahr-e-Khuban (Pg. 96)

    • Author: Zafar Sambhali
      • Publisher: Zafar Sambhali
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now