aankh mein kuchh nami si rahti hai
aañkh meñ kuchh namī sī rahtī hai
zindagī meñ kamī sī rahtī hai
dil kī is jhiil par hamesha hī
ek kaa.ī jamī sī rahtī hai
mere bistar kī silvaToñ meñ ab
yaad us kī thamī sī rahtī hai
dostī hai tamām duniyā se
ḳhud se hī dushmanī sī rahtī hai
maiñ agar tujh se TuuT bhī jā.ūñ
phir bhī kuchh hamdamī sī rahtī hai
har sitam hai 'rafīq' par nāzil
dil meñ ik barhamī sī rahtī hai
aankh mein kuchh nami si rahti hai
zindagi mein kami si rahti hai
dil ki is jhil par hamesha hi
ek kai jami si rahti hai
mere bistar ki silwaTon mein ab
yaad us ki thami si rahti hai
dosti hai tamam duniya se
KHud se hi dushmani si rahti hai
main agar tujh se TuT bhi jaun
phir bhi kuchh hamdami si rahti hai
har sitam hai 'rafiq' par nazil
dil mein ek barhami si rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.