Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh mein teri shakl hai dil mein tera jamal hai

Vahshi Kanpuri

aankh mein teri shakl hai dil mein tera jamal hai

Vahshi Kanpuri

MORE BYVahshi Kanpuri

    aañkh meñ terī shakl hai dil meñ tirā jamāl hai

    kis ko ye fursat-e-ḳhayāl hijr hai visāl hai

    us shikastagī na dekh us ke faroġh par na

    ishq to husn ek partav-e-lā-yazāl hai

    terī nazar bijliyāñ kauñd ga.iiñ kahāñ kahāñ

    farsh se arsh tak tamām raushnī-e-jamāl hai

    pahle thā iztirāb-e-dil rūh-e-ravān-e-āshiqī

    rāh-e-fanā meñ ab yahī māne-e-ittisāl hai

    ab na vo fikr-e-nāma-bar aur na vo iztirāb-e-dil

    apnā javāb aap ab mirā har savāl hai

    aankh mein teri shakl hai dil mein tera jamal hai

    kis ko ye fursat-e-KHayal hijr hai ya visal hai

    us ki shikastagi na dekh us ke farogh par na ja

    ishq to husn hi ka ek partaw-e-la-yazal hai

    teri nazar ki bijliyan kaund gain kahan kahan

    farsh se arsh tak tamam raushni-e-jamal hai

    pahle tha iztirab-e-dil ruh-e-rawan-e-ashiqi

    rah-e-fana mein ab yahi mane-e-ittisal hai

    ab na wo fikr-e-nama-bar aur na wo iztirab-e-dil

    apna jawab aap hi ab mera har sawal hai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Wahshi Kanpuri (Pg. 43)

      • Publisher: Shah Nawaz Qureshi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now