Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh se aankh mile ramz khule baat chale

Muzammil Abbas Shajar

aankh se aankh mile ramz khule baat chale

Muzammil Abbas Shajar

MORE BYMuzammil Abbas Shajar

    aañkh se aañkh mile ramz khule baat chale

    din nikalne do ki pahlū se mire raat chale

    terī chūḌī khanak se huā tasḳhīr ye dil

    terī āñkhoñ ke ishāroñ pe ḳhayālāt chale

    vo sahar-ḳhez hañsī vo tirā sharmā jaanā

    kaise kaise mirī hastī pe tilismāt chale

    zikr ko neze rif.at pe sajāyā jis ne

    rah gayā haq vo markaz so mazāfāt chale

    koī taḳhlīq ke asbāb bhī samjhe zarā

    ek nuqte se ayaañ rañg yahāñ saat chale

    jab maiñ tasḳhīr tire raaz ko kar paayā to

    phir mire raqs pe duniyā tire naġhmāt chale

    maktab-e-aql paḌhā paḌh ke chalā maiḳhāne

    jab na dānā.ī chalī phir mire jazbāt chale

    purze purze hai tire hijr meñ pairāhan-e-jāñ

    mujh meñ sāñsoñ tarah yuuñ tire sadmāt chale

    lauT aa.egī mirī samt 'shajar' hariyālī

    phir jo ik baar usī lams ḳhairāt chale

    aankh se aankh mile ramz khule baat chale

    din nikalne do ki pahlu se mere raat chale

    teri chuDi ki khanak se hua tasKHir ye dil

    teri aankhon ke ishaaron pe KHayalat chale

    wo sahar-KHez hansi wo tera sharma jaana

    kaise kaise meri hasti pe tilismat chale

    zikr ko neze ki rifat pe sajaya jis ne

    rah gaya haq ka wo markaz so mazafat chale

    koi taKHliq ke asbab bhi samjhe na zara

    ek nuqte se ayan rang yahan sat chale

    jab main tasKHir tere raaz ko kar paya to

    phir mere raqs pe duniya tere naghmat chale

    maktab-e-aql paDha paDh ke chala maiKHane

    jab na danai chali phir mere jazbaat chale

    purze purze hai tere hijr mein pairahan-e-jaan

    mujh mein sanson ki tarah yun tere sadmat chale

    lauT aaegi meri samt 'shajar' hariyali

    phir jo ek bar usi lams ki KHairaat chale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now