aankh tarik meri jism hai raushan mera
aañkh tārīk mirī jism hai raushan merā
dar-o-dīvār se Takrātā hai aahan merā
aur ab haath mirā qabza-e-shamshīr pe hai
yahī jauhar hai mirā aur yahī fan merā
aaj maiñ tum ko jalāne ke liye aayā huuñ
tum ne ik roz ujāḌā thā nasheman merā
sūrat-e-abr baraste raheñ baazū tere
aag kī tarh dahaktā rahe gulshan merā
tum jahāñ jurm-e-za’īfī kī sazā paate ho
usī sayyāre pe maujūd hai bachpan merā
aankh tarik meri jism hai raushan mera
dar-o-diwar se Takraata hai aahan mera
aur ab hath mera qabza-e-shamshir pe hai
yahi jauhar hai mera aur yahi fan mera
aaj main tum ko jalane ke liye aaya hun
tum ne ek roz ujaDa tha nasheman mera
surat-e-abr baraste rahen bazu tere
aag ki tarh dahakta rahe gulshan mera
tum jahan jurm-e-za’ifi ki saza pate ho
usi sayyare pe maujud hai bachpan mera
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 69)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.