Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha

Abdussamad ’Tapish’

aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha

Abdussamad ’Tapish’

MORE BYAbdussamad ’Tapish’

    aañkh thī suujī huī aur raat bhar soyā na thā

    is tarah vo TuuT kar shāyad kabhī royā na thā

    un ke shauq-e-dīd meñ thā is qadr khoyā huā

    maiñ bharī mahfil meñ thā aisā ki maiñ goyā na thā

    imtihāñ zauq-e-safar thā to sūraj sar pe thā

    dhuup thī dīvār thī lekin kahīñ saaya na thā

    vo baḌā thā phir bhī vo is qadr be-faiz thā

    us ghanere peḌ meñ jaise koī saaya na thā

    shāhrāh par ḳhuun meñ ik laash thī luthḌī hui

    aa.e din hādsa thā is liye charchā na thā

    har nigah pyāsī thī lekin vaqt tahvīl meñ

    ik sarāb-āsā zamīñ thī duur tak dariyā na thā

    aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha

    is tarah wo TuT kar shayad kabhi roya na tha

    un ke shauq-e-did mein tha is qadr khoya hua

    main bhari mahfil mein tha aisa ki main goya na tha

    imtihan zauq-e-safar ka tha to suraj sar pe tha

    dhup thi diwar thi lekin kahin saya na tha

    wo baDa tha phir bhi wo is qadr be-faiz tha

    us ghanere peD mein jaise koi saya na tha

    shahrah par KHun mein ek lash thi luthDi hui

    aae din ka hadsa tha is liye charcha na tha

    har nigah pyasi thi lekin waqt ki tahwil mein

    ek sarab-asa zamin thi dur tak dariya na tha

    Source:

    Mata-e-Aainda (Pg. 117)

    • Author: Abdussamad Tapish
      • Edition: 2000
      • Publisher: Abdussamad Tapish
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now