aankhen chehra kya kya kuchh
āñkheñ chehra kyā kyā kuchh
vaqt ne badla kyā kyā kuchh
shaam ne aise rang bhare
zahr meñ utrā kyā kyā kuchh
aañkh nazar ḳhālī ḳhālī
suunā suunā kyā kyā kuchh
ek zarā sī aahaT thī
din ne sochā kyā kyā kuchh
jab se tere pair paḌe
ghar meñ lauTā kyā kyā kuchh
mere paañv se uljhe haiñ
manzil rasta kyā kyā kuchh
aankhen chehra kya kya kuchh
waqt ne badla kya kya kuchh
sham ne aise rang bhare
zahr mein utra kya kya kuchh
aankh nazar KHali KHali
suna suna kya kya kuchh
ek zara si aahaT thi
din ne socha kya kya kuchh
jab se tere pair paDe
ghar mein lauTa kya kya kuchh
mere panw se uljhe hain
manzil rasta kya kya kuchh
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 70)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.