aankhen hain KHushk ashk-bari hai
āñkheñ haiñ ḳhushk ashk-bārī hai
jaam ḳhālī haiñ daur jaarī hai
vo haiñ paas aur be-qarārī hai
kyā mohabbat kī vaz'-dārī hai
zindagī chaar din kī hai lekin
ek din ik sadī pe bhārī hai
mar ke bhī jiine vaale zinda haiñ
maut bhī zindagī se haarī hai
dāstāñ-go badalte jaate haiñ
'ishq kī dāstān jaarī hai
aankhen hain KHushk ashk-bari hai
jam KHali hain daur jari hai
wo hain pas aur be-qarari hai
kya mohabbat ki waz'-dari hai
zindagi chaar din ki hai lekin
ek din ek sadi pe bhaari hai
mar ke bhi jine wale zinda hain
maut bhi zindagi se haari hai
dastan-go badalte jate hain
'ishq ki dastan jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.