Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon ka pura shahr hi sailab kar gaya

Alok Mishra

aankhon ka pura shahr hi sailab kar gaya

Alok Mishra

MORE BYAlok Mishra

    āñkhoñ puurā shahr sailāb kar gayā

    ye kaun mujh meñ nazm sūrat utar gayā

    jañgal meñ terī yaad ke jugnūñ chamak uThe

    maidāñ siyāh-shab ujāloñ se bhar gayā

    varna siyāh raat meñ jhulsā huā thā maiñ

    ye to tumhārī dhuup meñ kuchh kuchh nikhar gayā

    jhūmā thirakte nāchte joḌoñ meñ kuchh ghaḌī

    dil phir na jaane kaisī udāsī se bhar gayā

    donoñ anā meñ chuur the an-ban ho ga.ī

    rishta nayā nayā thā kuchh din meñ mar gayā

    pahle kuchh ek din to kaTī mushkiloñ meñ raat

    phir terā hijr merī ragoñ meñ utar gayā

    hāthoñ se apne ḳhud nasheman ujaaḌ kar

    dekho udaas ho ke parinda kidhar gayā

    ik chīḳh āsmān ke dāman meñ so ga.ī

    dil zamīñ pe dard har ik bikhar gayā

    aankhon ka pura shahr hi sailab kar gaya

    ye kaun mujh mein nazm ki surat utar gaya

    jangal mein teri yaad ke jugnun chamak uThe

    maidan siyah-shab ka ujalon se bhar gaya

    warna siyah raat mein jhulsa hua tha main

    ye to tumhaari dhup mein kuchh kuchh nikhar gaya

    jhuma thirakte nachte joDon mein kuchh ghaDi

    dil phir na jaane kaisi udasi se bhar gaya

    donon ana mein chur the an-ban si ho gai

    rishta naya naya sa tha kuchh din mein mar gaya

    pahle kuchh ek din to kaTi mushkilon mein raat

    phir tera hijr meri ragon mein utar gaya

    hathon se apne KHud hi nasheman ujaD kar

    dekho udas ho ke parinda kidhar gaya

    ek chiKH aasman ke daman mein so gai

    dil ki zamin pe dard har ek su bikhar gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now