aankhon ko chubhne lagta hai sab miTTi ho jata hai

aankhon ko chubhne lagta hai sab miTTi ho jata hai
Vibha Jain 'Khwaab'
MORE BYVibha Jain 'Khwaab'
āñkhoñ ko chubhne lagtā hai sab miTTī ho jaatā hai
ḳhvāb chaTak kar reza reza jab miTTī ho jaatā hai
ek kisān ḳhudā se āḳhir māñge bhī to kyā māñge
ban kar megh baras jaatā hai rab miTTī ho jaatā hai
tere hijr kī aag meñ āhista āhista jal jal kar
mom badan thoḌā thoḌā har shab miTTī ho jaatā hai
āñkhoñ se lahreñ uThtī haiñ khāre khāre ashkoñ kī
aur har qatra aañsū kā bar-lab miTTī ho jaatā hai
dil bhī ek sitārā hai jo TuuT rahā hai qistoñ meñ
roz tirī ḳhvāhish meñ be-matlab miTTī ho jaatā hai
aankhon ko chubhne lagta hai sab miTTi ho jata hai
KHwab chaTak kar reza reza jab miTTi ho jata hai
ek kisan KHuda se aaKHir mange bhi to kya mange
ban kar megh baras jata hai rab miTTi ho jata hai
tere hijr ki aag mein aahista aahista jal jal kar
mom badan thoDa thoDa har shab miTTi ho jata hai
aankhon se lahren uThti hain khaare khaare ashkon ki
aur har qatra aansu ka bar-lab miTTi ho jata hai
dil bhi ek sitara hai jo TuT raha hai qiston mein
roz teri KHwahish mein be-matlab miTTi ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.