Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein hai kaisa pani band hai kyun aawaz

Tahir Adeem

aankhon mein hai kaisa pani band hai kyun aawaz

Tahir Adeem

MORE BYTahir Adeem

    āñkhoñ meñ hai kaisā paanī band hai kyuuñ āvāz

    apne dil se pūchho jānāñ merī chup raaz

    us ke zaḳhm ko sahnā rahnā us meñ mahsūr

    us ke zulm pe hañs kar kahnā terī umr darāz

    terī marzī ḳhushiyoñ ke chheḌ ġhamoñ ke raag

    merī sur-tāl mālik maiñ huuñ terā saaz

    dil har dhaḌkan maujib diid shunīd tirī

    siine meñ jaltī sāñsoñ ek javāz

    aur aur huā hai sājan ziist har mafhūm

    aur aur huī hai merī sochoñ parvāz

    tujh bin kaun banegā ḳhālī āñkheñ guñg sadā

    tujh bin jaan karegā 'tāhir' kis se raaz niyāz

    aankhon mein hai kaisa pani band hai kyun aawaz

    apne dil se puchho jaanan meri chup ka raaz

    us ke zaKHm ko sahna rahna us mein hi mahsur

    us ke zulm pe hans kar kahna teri umr daraaz

    teri marzi KHushiyon ke ya chheD ghamon ke rag

    tu meri sur-tal ka malik main hun tera saz

    dil ki har dhaDkan ka maujib did shunid teri

    sine mein jalti sanson ka tu hi ek jawaz

    aur si aur hua hai sajan zist ka har mafhum

    aur si aur hui hai meri sochon ki parwaz

    tujh bin kaun banega KHali aankhen gung sada

    tujh bin jaan karega 'tahir' kis se raaz niyaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now