Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein insan basae ja sakte hain

Harris Raja

aankhon mein insan basae ja sakte hain

Harris Raja

MORE BYHarris Raja

    āñkhoñ meñ insān basā.e sakte haiñ

    dil par yuuñ ehsān jatā.e sakte haiñ

    ishq-nagar meñ bas niyyat dekhī jaatī hai

    kāġhaz ke gul-dān banā.e sakte haiñ

    chāñdnī raat meñ maddham sūraj ug saktā hai

    sochoñ par bohtān lagā.e sakte haiñ

    janmoñ ḳhāmoshī jab jab bolnā chāhe

    dīvāroñ ke kaan banā.e sakte haiñ

    sunā hai 'hāris' hoñToñ ke amrit-ras meñ bhī

    zahr-bhare paikān milā.e sakte haiñ

    aankhon mein insan basae ja sakte hain

    dil par yun ehsan jatae ja sakte hain

    ishq-nagar mein bas niyyat dekhi jati hai

    kaghaz ke gul-dan banae ja sakte hain

    chandni raat mein maddham suraj ug sakta hai

    sochon par bohtan lagae ja sakte hain

    janmon ki KHamoshi jab jab bolna chahe

    diwaron ke kan banae ja sakte hain

    suna hai 'haaris' honTon ke amrit-ras mein bhi

    zahr-bhare paikan milae ja sakte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now