Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein KHwab rakh diye tabir chhin li

Arshad Jamal Hashmi

aankhon mein KHwab rakh diye tabir chhin li

Arshad Jamal Hashmi

MORE BYArshad Jamal Hashmi

    āñkhoñ meñ ḳhvāb rakh diye ta.abīr chhīn

    us ne ḳhitāb baḳhsh ke jāgīr chhīn

    ġham ye nahīñ ki baḳht ne barbād kar diyā

    ġham hai to ye ki ḳhvāhish-e-ta.amīr chhīn

    dastār-e-maslahat to yuuñ bhī sar pe bojh thī

    achchhā kiyā ki tum ne ye tauqīr chhīn

    ye kis bad-duā hai tāsīr yā-ḳhudā

    jis ne mirī duāoñ se tāsīr chhīn

    qadr-o-qazā zikr kuchh is tarah se kiyā

    vaa.iz ne nok-e-nāḳhun-e-tadbīr chhīn

    shohrat milī thī jur.at-e-taqrīr se jise

    shohrat ne us se jur.at-e-taqrīr chhīn

    but ban gayā to us namī ḳhatm ho ga.ī

    bhaktoñ ne us ḳhaak se iksīr chhīn

    andesha-e-itāb se yaar aur Dar ga.e

    qātil se ham ne baḌh ke jo shamshīr chhīn

    be-nutq thī to kahtī thī kyā kyā na dāstāñ

    goyā.ī ne to hairat-e-tasvīr chhīn

    rahne lagā hai vo baḌā chup chup in dinoñ

    'arshad' se kis ne shoḳhī-e-taqrīr chhīn

    aankhon mein KHwab rakh diye tabir chhin li

    us ne KHitab baKHsh ke jagir chhin li

    gham ye nahin ki baKHt ne barbaad kar diya

    gham hai to ye ki KHwahish-e-tamir chhin li

    dastar-e-maslahat to yun bhi sar pe bojh thi

    achchha kiya ki tum ne ye tauqir chhin li

    ye kis ki bad-dua ki hai tasir ya-KHuda

    jis ne meri duaon se tasir chhin li

    qadr-o-qaza ka zikr kuchh is tarah se kiya

    waiz ne nok-e-naKHun-e-tadbir chhin li

    shohrat mili thi jurat-e-taqrir se jise

    shohrat ne us se jurat-e-taqrir chhin li

    but ban gaya to us ki nami KHatm ho gai

    bhakton ne us ki KHak se iksir chhin li

    andesha-e-itab se yar aur Dar gae

    qatil se hum ne baDh ke jo shamshir chhin li

    be-nutq thi to kahti thi kya kya na dastan

    goyai ne to hairat-e-taswir chhin li

    rahne laga hai wo baDa chup chup sa in dinon

    'arshad' se kis ne shoKHi-e-taqrir chhin li

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now