Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein roz ban ke samundar udasiyan

Santosh Purswani Sant

aankhon mein roz ban ke samundar udasiyan

Santosh Purswani Sant

MORE BYSantosh Purswani Sant

    āñkhoñ meñ roz ban ke samundar udāsiyāñ

    kyoñ zabt āzmātī haiñ aksar udāsiyāñ

    jaise koī sañbhāltā hai apne zevarāt

    ham ko sañbhāltī haiñ yuuñ aa kar udāsiyāñ

    ham chaah kar bhī ḳhush nahīñ rah paa.e ziist meñ

    bachpan se haavī ho ga.iiñ ham par udāsiyāñ

    insāñ ko mil rahīñ haiñ jahāñ-bhar ne.amateñ

    hairat hai phir bhī pasrī haiñ ghar ghar udāsiyāñ

    duniyā raunaqoñ se nahīñ hai koī gurez

    par ham ko raas aa.iiñ haiñ aksar udāsiyāñ

    ḳhushbū se kis merā ye kamrā mahak uThā

    ya.anī ki ho ga.iiñ haiñ mo.attar udāsiyāñ

    gar sun sake to sun le ḳhamoshī ye sadā

    kuchh kah rahī haiñ kaan meñ aa kar udāsiyāñ

    sone pe lag gayā hai suhāgā ye dekhiye

    ik to ġham-e-hayāt hai us par udāsiyāñ

    is shahr-e-dil meñ koī ḳhushī aa.e kyā majāl

    kartī haiñ raaj 'sant' ke dil par udāsiyāñ

    aankhon mein roz ban ke samundar udasiyan

    kyon zabt aazmati hain aksar udasiyan

    jaise koi sanbhaalta hai apne zewaraat

    hum ko sanbhaalti hain yun aa kar udasiyan

    hum chah kar bhi KHush nahin rah pae zist mein

    bachpan se hawi ho gain hum par udasiyan

    insan ko mil rahin hain jahan-bhar ki neamaten

    hairat hai phir bhi pasri hain ghar ghar udasiyan

    duniya ki raunaqon se nahin hai koi gurez

    par hum ko ras aain hain aksar udasiyan

    KHushbu se kis ki mera ye kamra mahak uTha

    yani ki ho gain hain moattar udasiyan

    gar sun sake to sun le KHamoshi ki ye sada

    kuchh kah rahi hain kan mein aa kar udasiyan

    sone pe lag gaya hai suhaga ye dekhiye

    ek to gham-e-hayat hai us par udasiyan

    is shahr-e-dil mein koi KHushi aae kya majal

    karti hain raj 'sant' ke dil par udasiyan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now