Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon pe mar gaya hun ya husn-e-kamal par

Avinash Joshi

aankhon pe mar gaya hun ya husn-e-kamal par

Avinash Joshi

MORE BYAvinash Joshi

    āñkhoñ pe mar gayā huuñ husn-e-kamāl par

    aTkā huā huuñ kab se maiñ bas is savāl par

    miTTī kis pe hotī hai taqdīr munhasir

    kūza-garoñ ke haath pe pahiye chaal par

    āñkhoñ ko us dekh ke aisā lagā mujhe

    us ke bahut savāl haiñ mere savāl par

    ab aap nasīhatoñ se bhar gayā hai man

    so chhoḌ dījiye mujhe mere haal par

    kahte the ḳhair-ḳhvāh jo ḳhud ko kabhī merā

    chhup-chhup ke hañs rahe haiñ vo mere zavāl par

    is shart pe dūñgā tujhe apne saare rang

    gustāḳh nazreñ na gireñ raanī gulāl par

    aankhon pe mar gaya hun ya husn-e-kamal par

    aTka hua hun kab se main bas is sawal par

    miTTi ki kis pe hoti hai taqdir munhasir

    kuza-garon ke hath pe pahiye ki chaal par

    aankhon ko us ki dekh ke aisa laga mujhe

    us ke bahut sawal hain mere sawal par

    ab aap ki nasihaton se bhar gaya hai man

    so chhoD dijiye mujhe mere hi haal par

    kahte the KHair-KHwah jo KHud ko kabhi mera

    chhup-chhup ke hans rahe hain wo mere zawal par

    is shart pe hi dunga tujhe apne sare rang

    gustaKH nazren na giren rani gulal par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now