Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon se jab ye KHwab sunahre utar gae

Kunwar Bechain

aankhon se jab ye KHwab sunahre utar gae

Kunwar Bechain

MORE BYKunwar Bechain

    āñkhoñ se jab ye ḳhvāb sunahre utar ga.e

    ham dil meñ apne aur bhī gahre utar ga.e

    sāñpoñ ne man biin ko kaaTā hai is tarah

    the us ke paas jitne bhī lahre utar ga.e

    laa.e haiñ vo aag ke motī baTor kar

    jo āñsuoñ barf meñ gahre utar ga.e

    logoñ ke dard-o-ġham bhī siyāsat ke zehn meñ

    jhanḌoñ se ek din ko phahre utar ga.e

    pahre pe sab chor haiñ ye tab patā chalā

    āñkhoñ se jab ye niiñd ke pahre utar ga.e

    ham jab taToñ ke paas rahe Dūbte rahe

    jab jab bhañvar ke beach meñ Thahre utar ga.e

    na.aroñ sīḌhiyoñ ko lagā kar chaḌhe jo log

    ho kar unhīñ choT se bahre utar ga.e

    jis din se mere dil meñ 'kuñvar' bas ga.e haiñ aap

    duniyā ke mujh pe jitne the pahre utar ga.e

    aankhon se jab ye KHwab sunahre utar gae

    hum dil mein apne aur bhi gahre utar gae

    sanpon ne man ki bin ko kaTa hai is tarah

    the us ke pas jitne bhi lahre utar gae

    lae hain wo hi aag ke moti baTor kar

    jo aansuon ki barf mein gahre utar gae

    logon ke dard-o-gham bhi siyasat ke zehn mein

    jhanDon se ek din ko hi phahre utar gae

    pahre pe sab hi chor hain ye tab pata chala

    aankhon se jab ye nind ke pahre utar gae

    hum jab taTon ke pas rahe Dubte rahe

    jab jab bhanwar ke beach mein Thahre utar gae

    naron ki siDhiyon ko laga kar chaDhe jo log

    ho kar unhin ki choT se bahre utar gae

    jis din se mere dil mein 'kunwar' bas gae hain aap

    duniya ke mujh pe jitne the pahre utar gae

    Source:

    Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 100)

    • Author: Kunwar Bechain
      • Edition: 2014
      • Publisher: Vani Prakashan
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now