Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aansuon ke rele mein

Ishrat Afreen

aansuon ke rele mein

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    āñsuoñ ke rele meñ

    jugnuoñ ke mele meñ

    mom ke khilaune the

    raushnī ke Thele meñ

    hijr bhī ḳhushbū thī

    chāhatoñ ke bele meñ

    hichkiyāñ bhī bah niklīñ

    qahqahoñ ke rele meñ

    phuul se kahe titlī

    apnā dukh akele meñ

    chīḳh chīḳh kar roī

    raat maiñ akele meñ

    aansuon ke rele mein

    jugnuon ke mele mein

    mom ke khilaune the

    raushni ke Thele mein

    hijr ki bhi KHushbu thi

    chahaton ke bele mein

    hichkiyan bhi bah niklin

    qahqahon ke rele mein

    phul se kahe titli

    apna dukh akele mein

    chiKH chiKH kar roi

    raat main akele mein

    Source :
    • Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 52)
    • Author : Ishrat Afreen
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now