aansuon ke sath aaKHir bah gai sham-e-alam

aansuon ke sath aaKHir bah gai sham-e-alam
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
āñsuoñ ke saath āḳhir bah ga.ī shām-e-alam
jaane kyā kyā ḳhvāb buntī rah ga.ī shām-e-alam
har nafas mahrūmiyoñ kī tīrgī Dasne lagī
chāñd ke mānind āḳhir gah ga.ī shām-e-alam
dard-e-furqat meñ bhī mujh ko muskurātā dekh kar
ġham kī ḳhud tasvīr ban kar rah ga.ī shām-e-alam
Dūbte sūraj se pūchhā jab fasāna hijr kā
jaane kitnī dāstāneñ kah ga.ī shām-e-alam
jis ghaḌī 'tābish' sahar kī āhaTeñ mahsūs kiiñ
bebasī se haath maltī rah ga.ī shām-e-alam
aansuon ke sath aaKHir bah gai sham-e-alam
jaane kya kya KHwab bunti rah gai sham-e-alam
har nafas mahrumiyon ki tirgi Dasne lagi
chand ke manind aaKHir gah gai sham-e-alam
dard-e-furqat mein bhi mujh ko muskuraata dekh kar
gham ki KHud taswir ban kar rah gai sham-e-alam
Dubte suraj se puchha jab fasana hijr ka
jaane kitni dastanen kah gai sham-e-alam
jis ghaDi 'tabish' sahar ki aahaTen mahsus kin
bebasi se hath malti rah gai sham-e-alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.