Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aansuon ki ek chadar tan gai hai

Majid-ul-Baqri

aansuon ki ek chadar tan gai hai

Majid-ul-Baqri

MORE BYMajid-ul-Baqri

    āñsuoñ ek chādar tan ga.ī hai

    dekhne meñ raushnī raushnī hai

    sūkhe patte sab ikaTThe ho ga.e haiñ

    rāste meñ ek dīvār aa ga.ī hai

    ġham relā zehn ko le uḌā hai

    sochiye to āñdhiyoñ kyā kamī hai

    chullū-chullū raushnī ko rahā huuñ

    mauj-e-dariyā qatra qatra chāñdnī hai

    raat meñ dhunkā huā sūraj paḌā thā

    din meñ 'mājid' dhuup kaalī ho ga.ī hai

    aansuon ki ek chadar tan gai hai

    dekhne mein raushni hi raushni hai

    sukhe patte sab ikaTThe ho gae hain

    raste mein ek diwar aa gai hai

    gham ka rela zehn hi ko le uDa hai

    sochiye to aandhiyon ki kya kami hai

    chullu-chullu raushni ko pi raha hun

    mauj-e-dariya qatra qatra chandni hai

    raat mein dhunka hua suraj paDa tha

    din mein 'majid' dhup kali ho gai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now