aansu baha ke dekh chuka kuchh hua nahin
aañsū bahā ke dekh chukā kuchh huā nahīñ
ḳhud ko miTā ke dekh liyā kuchh milā nahīñ
tā'mīr-e-zindagī ke liye kyā nahīñ kiyā
phir bhī ye e'tirāz ki kuchh bhī kiyā nahīñ
mujh ko mire ḳhudā se gile haiñ ka.ī magar
mujh ko mu'āshre se zarā bhī gila nahīñ
chaubīs saal ḳhatm hue 'umr ke magar
ghar se nikal ke chaar qadam maiñ chalā nahīñ
thī kaam kī talāsh mujhe ek 'umr se
lekin durust kaam kahīñ bhī milā nahīñ
'mahfūz' ek shaḳhs abhī tak jahāñ meñ hai
yā'nī vo nā-murād abhī tak marā nahīñ
aansu baha ke dekh chuka kuchh hua nahin
KHud ko miTa ke dekh liya kuchh mila nahin
ta'mir-e-zindagi ke liye kya nahin kiya
phir bhi ye e'tiraaz ki kuchh bhi kiya nahin
mujh ko mere KHuda se gile hain kai magar
mujh ko mu'ashre se zara bhi gila nahin
chaubis sal KHatm hue 'umr ke magar
ghar se nikal ke chaar qadam main chala nahin
thi kaam ki talash mujhe ek 'umr se
lekin durust kaam kahin bhi mila nahin
'mahfuz' ek shaKHs abhi tak jahan mein hai
ya'ni wo na-murad abhi tak mara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.