aansuon ki jahan paemali rahi
āñsuoñ kī jahāñ pā.emālī rahī
aisī bastī charāġhoñ se ḳhālī rahī
dushmanoñ kī tarah us se laḌte rahe
apnī chāhat bhī kitnī nirālī rahī
jab kabhī bhī tumhārā ḳhayāl aa gayā
phir ka.ī roz tak be-ḳhayālī rahī
lab taraste rahe ik hañsī ke liye
merī kashtī musāfir se ḳhālī rahī
chāñd taare sabhī ham-safar the magar
zindagī raat thī raat kaalī rahī
mere siine pe ḳhushbū ne sar rakh diyā
merī bāñhoñ meñ phūloñ kī Daalī rahī
aansuon ki jahan paemali rahi
aisi basti charaghon se KHali rahi
dushmanon ki tarah us se laDte rahe
apni chahat bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhaara KHayal aa gaya
phir kai roz tak be-KHayali rahi
lab taraste rahe ek hansi ke liye
meri kashti musafir se KHali rahi
chand tare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kali rahi
mere sine pe KHushbu ne sar rakh diya
meri banhon mein phulon ki Dali rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.