aap agar koshish farmate milte-julte aate jate
aap agar koshish farmāte milte-julte aate jaate
ḳhāmoshī se note dikhāte milte-julte aate jaate
gar ḳhvāhish hai promotion kī chorī-chorī boss se milte
daftar kā dastūr nibhāte milte-julte aate jaate
rāh-o-rasm se boss pighaltā lunch-o-dinner se aap kā hotā
ḳhud jaate yā use bulāte milte-julte aate jaate
sāmne us ke ban ke rahte bhīgī-billī aur chuġhad bhī
lekin pīchhe ro'b dikhāte milte-julte aate jaate
aap meñ gar himmat kī kamī thī phir to sahārā ġhair kā lete
us ke chamchoñ ko hī paTāte milte-julte aate jaate
ḳhālī mehnat aur diyānat afsar ko kyā lenā denā
ek minister dost banāte milte-julte aate jaate
pahle apne hathkandoñ se logoñ ko girvīda karte
leader kī phir dhauñs jamāte milte-julte aate jaate
afsar ko afsar hī samjho apnā 'nazar' vishvās yahī hai
shaan meñ us kī she'r sunāte milte-julte aate jaate
aap agar koshish farmate milte-julte aate jate
KHamoshi se note dikhate milte-julte aate jate
gar KHwahish hai promotion ki chori-chori boss se milte
daftar ka dastur nibhate milte-julte aate jate
rah-o-rasm se boss pighalta lunch-o-dinner se aap ka hota
KHud jate ya use bulate milte-julte aate jate
samne us ke ban ke rahte bhigi-billi aur chughad bhi
lekin pichhe ro'b dikhate milte-julte aate jate
aap mein gar himmat ki kami thi phir to sahaara ghair ka lete
us ke chamchon ko hi paTate milte-julte aate jate
KHali mehnat aur diyanat afsar ko kya lena dena
ek minister dost banate milte-julte aate jate
pahle apne hathkandon se logon ko girwida karte
leader ki phir dhauns jamate milte-julte aate jate
afsar ko afsar hi samjho apna 'nazar' wishwas yahi hai
shan mein us ki she'r sunate milte-julte aate jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.