aap-biti koi samjhe to bataun main bhi
āp-bītī koī samjhe to batā.ūñ maiñ bhī
mujh ko sunñā koī chāhe to sunā.ūñ maiñ bhī
merī āñkheñ hī sahārā nahīñ detīñ varna
chāhtī huuñ tirī tasvīr banā.ūñ maiñ bhī
tū ki masrūf hai duniyā kī pareshānī meñ
tujh ko kis muñh se pareshānī batā.ūñ maiñ bhī
hijr kī dhuup tirā jism jalā.e kab tak
terī ummīd ke pardoñ ko haTā.ūñ maiñ bhī
ye to ab quvvat-e-goyā.ī nahīñ hai varna
terī āvāz meñ āvāz milā.ūñ maiñ bhī
aap-biti koi samjhe to bataun main bhi
mujh ko sunna koi chahe to sunaun main bhi
meri aankhen hi sahaara nahin detin warna
chahti hun teri taswir banaun main bhi
tu ki masruf hai duniya ki pareshani mein
tujh ko kis munh se pareshani bataun main bhi
hijr ki dhup tera jism jalae kab tak
teri ummid ke pardon ko haTaun main bhi
ye to ab quwwat-e-goyai nahin hai warna
teri aawaz mein aawaz milaun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.