aap ka intiKHab achchhe hain
aap kā intiḳhāb achchhe haiñ
ham bure haiñ janāb achchhe haiñ
koī achchhā koī bahut achchhā
ham se to sab ḳharāb achchhe haiñ
jhuuT meñ 'āfiyat nahīñ miltī
sach ke vaqtī 'azāb achchhe haiñ
dostī meñ hisāb kam-zarfī
dushmanī meñ hisāb achchhe haiñ
in meñ bahte haiñ aas ke dariyā
dar-haqīqat sarāb achchhe haiñ
raqs karne lage haiñ ġham aur maiñ
jaam saaqī sharāb achchhe haiñ
in kī tā'bīr talḳh hai varna
zindagānī ke ḳhvāb achchhe haiñ
pahle kar lījiye hisāb kitāb
phir savāl-o-javāb achchhe haiñ
aisā qaht-ur-rijāl hai ki 'amar'
jo bhī haiñ dastyāb achchhe haiñ
aap ka intiKHab achchhe hain
hum bure hain janab achchhe hain
koi achchha koi bahut achchha
hum se to sab KHarab achchhe hain
jhuT mein 'afiyat nahin milti
sach ke waqti 'azab achchhe hain
dosti mein hisab kam-zarfi
dushmani mein hisab achchhe hain
in mein bahte hain aas ke dariya
dar-haqiqat sarab achchhe hain
raqs karne lage hain gham aur main
jam saqi sharab achchhe hain
in ki ta'bir talKH hai warna
zindagani ke KHwab achchhe hain
pahle kar lijiye hisab kitab
phir sawal-o-jawab achchhe hain
aisa qaht-ur-rijal hai ki 'amar'
jo bhi hain dastyab achchhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.