Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho

Anis Dehlavi

aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho

Anis Dehlavi

MORE BYAnis Dehlavi

    aap koī safar be-samt be-manzil na ho

    zindagī aisī na jiinā jis mustaqbil na ho

    aaj ke shahzāde sab kuchh chāhte haiñ is tarah

    saḳhtī-e-mausam bhī kam ho raah bhī mushkil na ho

    terā sarmāya tirī daulat yahī ik chiiz hai

    ek pal kirdār ta.amīr se ġhāfil na ho

    us ne ḳhushiyoñ ke ḳhazāne kiye mujh par magar

    be-tahāshā raushnī tīrgī hāsil na ho

    apnī qurbat ke kuchh aise naqsh dil par chhoḌ de

    vo bhī chāhe to mohabbat asar zaa.il na ho

    ye samajh lo be-hisī us muqaddar ban chukī

    ai 'anīs' apnī ġhalat-kārī pe jo qaa.el na ho

    aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho

    zindagi aisi na jina jis ka mustaqbil na ho

    aaj ke shahzade sab kuchh chahte hain is tarah

    saKHti-e-mausam bhi kam ho rah bhi mushkil na ho

    tera sarmaya teri daulat yahi ek chiz hai

    ek pal kirdar ki tamir se ghafil na ho

    us ne KHushiyon ke KHazane wa kiye mujh par magar

    be-tahasha raushni ki tirgi hasil na ho

    apni qurbat ke kuchh aise naqsh dil par chhoD de

    wo bhi chahe to mohabbat ka asar zail na ho

    ye samajh lo be-hisi us ka muqaddar ban chuki

    ai 'anis' apni ghalat-kari pe jo qael na ho

    Source:

    Qadam Ba-Qadam (Pg. e-98 p-97)

    • Author: Anis Dehlavi
      • Edition: 1997
      • Publisher: Anis Dehlavi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now