Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap ke dil ka mere dil ka nafaz

Nooh Narvi

aap ke dil ka mere dil ka nafaz

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    aap ke dil mire dil nafāz

    kyā kare maqtūl-o-qātil nafāz

    phir gayā mujh ko zabāñ de kar koī

    khul gayā yuuñ uuprī dil nafāz

    jāda-e-ishq-o-vafā meñ chāhiye

    rahravoñ par shauq-e-manzil nafāz

    mar ga.e lākhoñ galā ḳhud kaaT kar

    allāh allāh teġh-e-qātil nafāz

    ham ne paayā ham ne dekhā jā-ba-jā

    ishq-e-sādiq husn-e-kāmil nafāz

    phir ga.e nāvak bhī un ke dekh kar

    mere dil meñ hasrat-e-dil nafāz

    pahle dekh ā.īna ai ā.īna-rū

    jāñch phir madd-e-muqābil nafāz

    paañv rakhnā mujh ko mushkil ho gayā

    thā ye hukm-e-mīr-e-mahfil nafāz

    jazb-e-kāmil ishq meñ hai ḳhaas chiiz

    ho na kyūñkar jazb-e-kāmil nafāz

    ashk āñkhoñ se rukeñ mumkin nahīñ

    dil tak mahdūd hai dil nafāz

    'nūh' ġharq-e-bahr-e-ulfat ho ga.e

    kaam aayā kuchh na sāhil nafāz

    aap ke dil ka mere dil ka nafaz

    kya kare maqtul-o-qatil ka nafaz

    phir gaya mujh ko zaban de kar koi

    khul gaya yun upri dil ka nafaz

    jada-e-ishq-o-wafa mein chahiye

    rahrawon par shauq-e-manzil ka nafaz

    mar gae lakhon gala KHud kaT kar

    allah allah tegh-e-qatil ka nafaz

    hum ne paya hum ne dekha ja-ba-ja

    ishq-e-sadiq husn-e-kaamil ka nafaz

    phir gae nawak bhi un ke dekh kar

    mere dil mein hasrat-e-dil ka nafaz

    pahle dekh aaina ai aaina-ru

    jaanch phir madd-e-muqabil ka nafaz

    panw rakhna mujh ko mushkil ho gaya

    tha ye hukm-e-mir-e-mahfil ka nafaz

    jazb-e-kaamil ishq mein hai KHas chiz

    ho na kyunkar jazb-e-kaamil ka nafaz

    ashk aankhon se ruken mumkin nahin

    dil hi tak mahdud hai dil ka nafaz

    'nuh' gharq-e-bahr-e-ulfat ho gae

    kaam aaya kuchh na sahil ka nafaz

    Source:

    Ejaz-e-Nooh (Pg. ebook-178 page-73)

    • Author: Mohammad Nooh Sahab Nooh
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now