Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap ke shahr mein aane wale

Faiz Tabassum Tonsvi

aap ke shahr mein aane wale

Faiz Tabassum Tonsvi

MORE BYFaiz Tabassum Tonsvi

    aap ke shahr meñ aane vaale

    ya.anī ḳhud jaan se jaane vaale

    sochtā rahtā huuñ kaise hoñge

    hāl-e-dil dil meñ chhupāne vaale

    bhuul jaanā tirī aadat sahī

    ham nahīñ tujh ko bhulāne vaale

    ham chaTānoñ tarah qaa.em haiñ

    kuchh kaheñ ham ko zamāne vaale

    merī taqdīr ke bhī mālik haiñ

    'faiz' bigḌī ko banāne vaale

    aap ke shahr mein aane wale

    yani KHud jaan se jaane wale

    sochta rahta hun kaise honge

    haal-e-dil dil mein chhupane wale

    bhul jaana teri aadat hi sahi

    hum nahin tujh ko bhulane wale

    hum chaTanon ki tarah qaem hain

    kuchh kahen hum ko zamane wale

    meri taqdir ke bhi malik hain

    'faiz' bigDi ko banane wale

    Source:

    Lauh-e-Ayyam (Pg. 29)

    • Author: Faiz Tabassum Tonsvi
      • Publisher: Faiz Academy, Karachi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now