aapko apni hi bedad-gari yaad nahin
aap ko apnī hī bedād-garī yaad nahīñ
is kā matlab hai mirī ham-safarī yaad nahīñ
ham se mat pūchho sar-e-dasht safar kaisā rahā
itnā bhaTke haiñ ki ab dar-ba-darī yaad nahīñ
kaaT degī yūñhī barsoñ kā safar lamhoñ meñ
'umr-e-daurāñ tujhe āhista-ravī yaad nahīñ
ham ko bhī yaad nahīñ āḳhirī ḳhat kā mazmūn
nāma-bar ko bhī koī nāma-barī yaad nahīñ
ham ne bhī 'ishq kiyā thā kabhī koī 'mariyam'
is se haT ke to koī dard-e-sarī yaad nahīñ
aap ko apni hi bedad-gari yaad nahin
is ka matlab hai meri ham-safari yaad nahin
hum se mat puchho sar-e-dasht safar kaisa raha
itna bhaTke hain ki ab dar-ba-dari yaad nahin
kaT degi yunhi barson ka safar lamhon mein
'umr-e-dauran tujhe aahista-rawi yaad nahin
hum ko bhi yaad nahin aaKHiri KHat ka mazmun
nama-bar ko bhi koi nama-bari yaad nahin
hum ne bhi 'ishq kiya tha kabhi koi 'mariyam'
is se haT ke to koi dard-e-sari yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.