Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aapko mujhse mohabbat bhi nahin

Mansoor Khushtar

aapko mujhse mohabbat bhi nahin

Mansoor Khushtar

MORE BYMansoor Khushtar

    aap ko mujh se mohabbat bhī nahīñ

    aur ''nahīñ'' kahne jur.at bhī nahīñ

    jaate haiñ mahfil se merī jā.iye

    roknā kuchh merī fitrat bhī nahīñ

    munhasir jis pe ho merī zindagī

    ne aisī mohabbat bhī nahīñ

    bevafā ham-rahī se fā.eda?

    aur ab chalne himmat bhī nahīñ

    jo kabhī dīvār pe laTkā.ī thī

    ab tire kamre zīnat bhī nahīñ

    maiñ kisī ko chhoḌ duuñ tere liye

    tujh se kuchh aisī to qurbat bhī nahīñ

    'ḳhushtar' is mehñdī lage hāthoñ ab

    jaane kyuuñ pahlī rañgat bhī nahīñ

    aap ko mujh se mohabbat bhi nahin

    aur nahin kahne ki jurat bhi nahin

    jate hain mahfil se meri jaiye

    rokna kuchh meri fitrat bhi nahin

    munhasir jis pe ho meri zindagi

    tu ne ki aisi mohabbat bhi nahin

    bewafa ki ham-rahi se faeda?

    aur ab chalne ki himmat bhi nahin

    jo kabhi diwar pe laTkai thi

    ab tere kamre ki zinat bhi nahin

    main kisi ko chhoD dun tere liye

    tujh se kuchh aisi to qurbat bhi nahin

    'KHushtar' is mehndi lage hathon ki ab

    jaane kyun pahli si rangat bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now