aapne sab ko ek taraf se apne ghazab mein rakkha
aap ne sab ko ek taraf se apne ġhazab meñ rakkhā
ham ne baḌī mushkil se ḳhud ko hadd-e-adab meñ rakkhā
ḳhvāb-jagātī is duniyā meñ yaad rahā kab kis ko
kyā Tapkāyā palkoñ se kyā ḳhushkī-e-lab meñ rakkhā
fayyāzī kā ek anokhā Dhang us ne apnāyā
koh-e-nidā meñ chhup ke sab ko dasht-e-talab meñ rakkhā
gahrā gahrā rang vahī hai tīra-shabī kā ab tak
ham ne agarche ik jugnū bhī ḳhema-e-shab meñ rakkhā
bhiiḌ meñ gum hone kā aksar andesha rahtā hai
dil kī ek uljhan kyoñ us ko vahm-e-'ajab meñ rakkhā
chāñd banāne vaale merī ye ġhutthī suljhā de
chāñd banāyā hai us ko to kyoñ aqrab meñ rakkhā
tum 'shādāb' nire shā'ir ho ḳhud ko manvāne ko
thoḌā hunar bhī yāroñ ne apne mansab meñ rakkhā
aap ne sab ko ek taraf se apne ghazab mein rakkha
hum ne baDi mushkil se KHud ko hadd-e-adab mein rakkha
KHwab-jagati is duniya mein yaad raha kab kis ko
kya Tapkaya palkon se kya KHushki-e-lab mein rakkha
fayyazi ka ek anokha Dhang us ne apnaya
koh-e-nida mein chhup ke sab ko dasht-e-talab mein rakkha
gahra gahra rang wahi hai tira-shabi ka ab tak
hum ne agarche ek jugnu bhi KHema-e-shab mein rakkha
bhiD mein gum hone ka aksar andesha rahta hai
dil ki ek uljhan kyon us ko wahm-e-'ajab mein rakkha
chand banane wale meri ye ghutthi suljha de
chand banaya hai us ko to kyon aqrab mein rakkha
tum 'shadab' nire sha'ir ho KHud ko manwane ko
thoDa hunar bhi yaron ne apne mansab mein rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.