Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap se aashnai hoti hai

Haris Ali

aap se aashnai hoti hai

Haris Ali

MORE BYHaris Ali

    aap se āshnā.ī hotī hai

    jis jis vaqt aa.ī hotī hai

    vasl ke din bhī āñkhoñ āñkhoñ meñ

    un merī laḌā.ī hotī hai

    kis se sīkhā hai aap ne parda

    ye sifat to ḳhudā.ī hotī hai

    qabr bhī merī un ko takiya hai

    Tek aa kar lagā.ī hotī hai

    ham ajal shikār hote haiñ

    vo parī ban ke aa.ī hotī hai

    bujh chukī sham' un mahfil meñ

    ġhair kārvā.ī hotī hai

    tab 'hāris' ko 'ishq hai is se

    shā'irī irtiqā.ī hotī hai

    aap se aashnai hoti hai

    jis ki jis waqt aai hoti hai

    wasl ke din bhi aankhon aankhon mein

    un ki meri laDai hoti hai

    kis se sikha hai aap ne parda

    ye sifat to KHudai hoti hai

    qabr bhi meri un ko takiya hai

    Tek aa kar lagai hoti hai

    hum ajal ka shikar hote hain

    wo pari ban ke aai hoti hai

    bujh chuki sham' un ki mahfil mein

    ghair ki karwai hoti hai

    tab hi 'haaris' ko 'ishq hai is se

    sha'iri irtiqai hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now