aap se baat ka irada kiya
aap se baat kā irāda kiyā
'ishq se yuuñ bhī istifāda kiyā
ḳhāl-o-ḳhad chāhiyeñ the so maiñ ne
aap ke 'aks ko labāda kiyā
jis ko sab 'ishq 'ishq kahte haiñ
ḳhud se kam aap se ziyāda kiyā
aap ko aa.ine kī jā dekhā
is tarah aa.ina kushāda kiyā
ek vā'da liyā mohabbat se
aur ḳhud se bhī ek vā'da kiyā
aap se baat ka irada kiya
'ishq se yun bhi istifada kiya
KHal-o-KHad chahiyen the so main ne
aap ke 'aks ko labaada kiya
jis ko sab 'ishq 'ishq kahte hain
KHud se kam aap se ziyaada kiya
aap ko aaine ki ja dekha
is tarah aaina kushada kiya
ek wa'da liya mohabbat se
aur KHud se bhi ek wa'da kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.