Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap se shikwa-e-bedad karun ya na karun

Azmat Abdul Qayyum Khan

aap se shikwa-e-bedad karun ya na karun

Azmat Abdul Qayyum Khan

MORE BYAzmat Abdul Qayyum Khan

    aap se shikva-e-bedād karūñ na karūñ

    shauq-e-pāband ko āzād karūñ na karūñ

    aap haiñ vaqt hai fursat hai zarā ye kah do

    ab bayāñ ishq rūdād karūñ na karūñ

    ai ġham-e-hijr batā ai dil-e-māyūs batā

    mātam-e-hasrat-e-nāshād karūñ na karūñ

    yuuñ to ab kuchh bhī nahīñ dīda-e-vīrāñ ko magar

    chand ḳhvāboñ se bhī ābād karūñ na karūñ

    merī qismat meñ sahī dard-o-alam rāheñ

    shādmānī ko kahīñ yaad karūñ na karūñ

    aaj mausam ne koī mast ġhazal chheḌī hai

    zabt ko mā.il-e-fariyād karūñ na karūñ

    zindagī ishq meñ miTnā hai to phir aise meñ

    naaz tujh pe dil-e-barbād karūñ na karūñ

    inqilābāt meñ tūfān-e-sitam meñ azmat

    shān-e-altāf-o-karam yaad karūñ na karūñ

    aap se shikwa-e-bedad karun ya na karun

    shauq-e-paband ko aazad karun ya na karun

    aap hain waqt hai fursat hai zara ye kah do

    ab bayan ishq ki rudad karun ya na karun

    ai gham-e-hijr bata ai dil-e-mayus bata

    matam-e-hasrat-e-nashad karun ya na karun

    yun to ab kuchh bhi nahin dida-e-viran ko magar

    chand KHwabon se bhi aabaad karun ya na karun

    meri qismat mein sahi dard-o-alam ki rahen

    shadmani ko kahin yaad karun ya na karun

    aaj mausam ne koi mast ghazal chheDi hai

    zabt ko mail-e-fariyaad karun ya na karun

    zindagi ishq mein miTna hai to phir aise mein

    naz tujh pe dil-e-barbaad karun ya na karun

    inqilabaat mein tufan-e-sitam mein azmat

    shan-e-altaf-o-karam yaad karun ya na karun

    Source:

    Zar-e-Gul (Pg. 105)

    • Author: Azmat Abdul Qayyum Khan
      • Publisher: Khayaban, Hyderabad
      • Year of Publication: 1964
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now