Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu-e-dil ka ye anjam hona chahiye

Humaira Gul Tishna

aarzu-e-dil ka ye anjam hona chahiye

Humaira Gul Tishna

MORE BYHumaira Gul Tishna

    ārzū-e-dil ye anjām honā chāhiye

    kyā mujhe bhī 'ishq meñ nākām honā chāhiye

    kyuuñ bhalā iblīs ko ilzām dete ho faqat

    tum ko ḳhair-o-shar bhī ilhām honā chāhiye

    baap dastār becheñ bahan khīñcheñ ridā

    mard ġhairat pe ab nīlām honā chāhiye

    matlabī duniyā meñ hai gum ibn-e-ādam is qadar

    kaam honā chāhiye bas kaam honā chāhiye

    DhūñDne se gar nahīñ miltā ḳhudā phir DhūñDhiye

    sub.h us justujū meñ shaam honā chāhiye

    gar nasīboñ meñ nahīñ vo shaḳhs likkhā ai ḳhudā

    kuchh du'āoñ mirī in'ām honā chāhiye

    'ishq me'rāj ho ai kaash aisā mo'jiza

    naam koī le vo merā naam honā chāhiye

    gar tujhe banñā hai 'tishna' shā.era ik be-badal

    tere har ik she'r meñ ib.hām honā chāhiye

    aarzu-e-dil ka ye anjam hona chahiye

    kya mujhe bhi 'ishq mein nakaam hona chahiye

    kyun bhala iblis ko ilzam dete ho faqat

    tum ko KHair-o-shar ka bhi ilham hona chahiye

    bap ki dastar bechen bahan ki khinchen rida

    mard ki ghairat pe ab nilam hona chahiye

    matlabi duniya mein hai gum ibn-e-adam is qadar

    kaam hona chahiye bas kaam hona chahiye

    DhunDne se gar nahin milta KHuda phir DhunDhiye

    subh us ki justuju mein sham hona chahiye

    gar nasibon mein nahin wo shaKHs likkha ai KHuda

    kuchh du'aon ka meri in'am hona chahiye

    'ishq ki me'raj ho ai kash aisa mo'jiza

    nam koi le wo mera nam hona chahiye

    gar tujhe banna hai 'tishna' shaera ek be-badal

    tere har ek she'r mein ibham hona chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now