aarzu-e-lab-o-ruKHsar liye phirti hai
ārzū-e-lab-o-ruḳhsār liye phirtī hai
zindagī ḳhud rasan-o-dār liye phirtī hai
'arsa-e-dahr meñ taḳhlīq-e-do-‘ālam ke liye
zehn ko garmī-e-afkār liye phirtī hai
kis ko mā'lūm ki shā'ir kī gadā.ī yaaro
jeb meñ daulat-e-bedār liye phirtī hai
apnī har saañs se hushiyār ki dushman kī tarah
zindagī haath meñ talvār liye phirtī hai
ban ga.ī qulqul-e-mīnā bhī sadā-e-fariyād
bū-e-gul bhī ḳhalish-e-ḳhār liye phirtī hai
maiñ vo yūsuf huuñ ki ab merī zuleḳhā-e-hayāt
dosh par misr kā bāzār liye phirtī hai
pahlū-e-mehr-e-daraḳhshāñ meñ añdherā hai 'sirāj'
tīrgī ‘ālam-e-anvār liye phirtī hai
aarzu-e-lab-o-ruKHsar liye phirti hai
zindagi KHud rasan-o-dar liye phirti hai
'arsa-e-dahr mein taKHliq-e-do-‘alam ke liye
zehn ko garmi-e-afkar liye phirti hai
kis ko ma'lum ki sha'ir ki gadai yaro
jeb mein daulat-e-bedar liye phirti hai
apni har sans se hushiyar ki dushman ki tarah
zindagi hath mein talwar liye phirti hai
ban gai qulqul-e-mina bhi sada-e-fariyaad
bu-e-gul bhi KHalish-e-KHar liye phirti hai
main wo yusuf hun ki ab meri zuleKHa-e-hayat
dosh par misr ka bazar liye phirti hai
pahlu-e-mehr-e-daraKHshan mein andhera hai 'siraj'
tirgi ‘alam-e-anwar liye phirti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.