Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu hai na koi hasrat hai

Kanval M. A

aarzu hai na koi hasrat hai

Kanval M. A

MORE BYKanval M. A

    aarzū hai na koī hasrat hai

    yaad us ab ġhanīmat hai

    ġham daulat merī daulat hai

    is meñ bhī mujh ko ain rāhat hai

    dekhiye kaun kāmrāñ nikle

    maiñ huuñ ab merī musībat hai

    kyoñ pashemāñ ho dil gunāhoñ par

    us baḳhshish hai us rahmat hai

    us se kyā ho mujhe umīd-e-vafā

    bevafā.ī jis aadat hai

    ġham meñ masrūr dard meñ shādāñ

    dil fitrat ajiib fitrat hai

    har zabāñ par hai ab hamārā naam

    ai mohabbat tirī ināyat hai

    ho chukī intihā jafāoñ

    ab tire lutf zarūrat hai

    gulistānoñ hai maqām apnā

    ḳhārzāroñ apnī azmat hai

    ġham na ho to hai zindagī be-kaif

    ġham se zindagī ibārat hai

    din bahāroñ ke bhī na raas aa.e

    mere ḳhāliq ye merī qismat hai

    shorisheñ ḳhatm haiñ shabāb ke saath

    ab vo dil hai na vo tabī.at hai

    maut se log kyoñ hirāsāñ haiñ

    zindagī bhī to ik musībat hai

    koī begāna ho ki apnā ho

    har kisī se hameñ mohabbat hai

    ġham se bezār kis liye ho 'kañval'

    ġham se aadmī izzat hai

    aarzu hai na koi hasrat hai

    yaad hi us ki ab ghanimat hai

    gham ki daulat hi meri daulat hai

    is mein bhi mujh ko ain rahat hai

    dekhiye kaun kaamran nikle

    main hun ya ab meri musibat hai

    kyon pasheman ho dil gunahon par

    us ki baKHshish hai us ki rahmat hai

    us se kya ho mujhe umid-e-wafa

    bewafai hi jis ki aadat hai

    gham mein masrur dard mein shadan

    dil ki fitrat ajib fitrat hai

    har zaban par hai ab hamara nam

    ai mohabbat teri inayat hai

    ho chuki intiha jafaon ki

    ab tere lutf ki zarurat hai

    gulistanon ka hai maqam apna

    KHarzaron ki apni azmat hai

    gham na ho to hai zindagi be-kaif

    gham hi se zindagi ibarat hai

    din bahaaron ke bhi na ras aae

    mere KHaliq ye meri qismat hai

    shorishen KHatm hain shabab ke sath

    ab wo dil hai na wo tabiat hai

    maut se log kyon hirasan hain

    zindagi bhi to ek musibat hai

    koi begana ho ki apna ho

    har kisi se hamein mohabbat hai

    gham se bezar kis liye ho 'kanwal'

    gham hi se aadmi ki izzat hai

    Source:

    Barg-o-Baar (Pg. 70)

    • Author: Kanval M. A
      • Publisher: Khum Khana-e-Adab, New Delhi
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now