Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzu sulagti hai ho ke mas hawaon se

Naseer Parwaz

aarzu sulagti hai ho ke mas hawaon se

Naseer Parwaz

MORE BYNaseer Parwaz

    aarzū sulagtī hai ho ke mas havāoñ se

    aag barastī hai sāvanī ghaTāoñ se

    bebasī-e-ādam ġham to ḳhair sab ko hai

    kaun bhiik māñgegā rahm ke ḳhudāoñ se

    nā-murād jiinā thā nā-murād jiite haiñ

    kyā gila kare koī apne āshnāoñ se

    gulsitāñ ki zaḳhm-e-dil kahkashāñ ki ashk-e-ġham

    larazne lagtā hai ab hasīñ fazāoñ se

    hādsoñ bastī meñ husn bhī pashemāñ hai

    vo nazar churāte haiñ aaj ḳhud jafāoñ se

    ab na dil zamīnoñ aur na āsmānoñ

    kar rahā hai sargoshī ajnabī ḳhalāoñ se

    intizār aalam kyā batā.ūñ ai parvāz

    chauñk chauñk uThtā huuñ saañs sadāoñ se

    aarzu sulagti hai ho ke mas hawaon se

    aag si barasti hai sawani ghaTaon se

    bebasi-e-adam ka gham to KHair sab ko hai

    kaun bhik mangega rahm ke KHudaon se

    na-murad jina tha na-murad jite hain

    kya gila kare koi apne aashnaon se

    gulsitan ki zaKHm-e-dil kahkashan ki ashk-e-gham

    ji larazne lagta hai ab hasin fazaon se

    hadson ki basti mein husn bhi pasheman hai

    wo nazar churaate hain aaj KHud jafaon se

    ab na dil zaminon ka aur na aasmanon ka

    kar raha hai sargoshi ajnabi KHalaon se

    intizar ka aalam kya bataun ai parwaz

    chaunk chaunk uThta hun sans ki sadaon se

    Source:

    Mata-e-Deeda-e-Tar (Pg. 105)

    • Author: Naseer Parwaz
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now