aarzu uski adhuri har tamanna KHam hai
aarzū us kī adhūrī har tamanna ḳhaam hai
kis liye pahlū meñ mere ab dil-e-nākām hai
zindagī to uljhanoñ kī rahguzār-e-'ām hai
aadmī ke zehn-o-dil ko ab kahāñ ārām hai
ek jāhil shaḳhs kā sab kī zabāñ par naam hai
māhir-e-fan kā bhalā ab is jagah kyā kaam hai
sub.h guzrī din bhī guzrā raat bhī hai sāmne
do ghaḌī Thahrī huī ab zindagī kī shaam hai
ḳhud hamāre yaar bhī ham ko na pahchāneñ yahāñ
bhiiḌ meñ rahne kā logo bas yahī anjām hai
ḳhvāb na dekhā kareñ rakkheñ haqīqat par nazar
aañkh vāloñ ke liye merā yahī paiġhām hai
tū paḌosī hai mirā ye bhī haqīqat hai magar
hai chhurī terī baġhal meñ aur muñh meñ raam hai
saarī duniyā kī hukūmat le ke ab ham kyā kareñ
apne hāthoñ meñ to logo parcham-e-islām hai
aa.ina sab ko dikhātā hai 'ziyā' is vāste
vā'izoñ meñ rahbaroñ meñ vo bahut badnām hai
aarzu us ki adhuri har tamanna KHam hai
kis liye pahlu mein mere ab dil-e-nakaam hai
zindagi to uljhanon ki rahguzar-e-'am hai
aadmi ke zehn-o-dil ko ab kahan aaram hai
ek jahil shaKHs ka sab ki zaban par nam hai
mahir-e-fan ka bhala ab is jagah kya kaam hai
subh guzri din bhi guzra raat bhi hai samne
do ghaDi Thahri hui ab zindagi ki sham hai
KHud hamare yar bhi hum ko na pahchanen yahan
bhiD mein rahne ka logo bas yahi anjam hai
KHwab na dekha karen rakkhen haqiqat par nazar
aankh walon ke liye mera yahi paigham hai
tu paDosi hai mera ye bhi haqiqat hai magar
hai chhuri teri baghal mein aur munh mein ram hai
sari duniya ki hukumat le ke ab hum kya karen
apne hathon mein to logo parcham-e-islam hai
aaina sab ko dikhata hai 'ziya' is waste
wa'izon mein rahbaron mein wo bahut badnam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.