aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aarzuen jal gain shauq-e-farawan jal gaya

Qaisar Amravatwi

aarzuen jal gain shauq-e-farawan jal gaya

Qaisar Amravatwi

MORE BYQaisar Amravatwi

    ārzūeñ jal ga.iiñ shauq-e-farāvāñ jal gayā

    bujh gayā dil zindagī sāz-o-sāmāñ jal gayā

    mausam-e-gul thā ki thī barq-e-ḳhizāñ zer-e-naqāb

    phuul hañsne bhī na paa.e the gulistāñ jal gayā

    shauq-e-manzil meñ junūñ garm-raftārī na pūchh

    raah ke kāñToñ kyā hastī bayābāñ jal gayā

    jhuum kar sū-e-chaman aayā to kyā barsā to kyā

    āshiyāñ to kab ai abr-e-bahārāñ jal gayā

    hashr ke din rahmat-e-haq ne liyā āġhosh meñ

    zauq-e-isyāñ par mire zāhid īmāñ jal gayā

    dekh 'qaisar' ye hai gulshan meñ ma.āl-e-fasl-e-gul

    ġhunche ġhunche gulistāñ meñ garebāñ jal gayā

    aarzuen jal gain shauq-e-farawan jal gaya

    bujh gaya dil zindagi ka saz-o-saman jal gaya

    mausam-e-gul tha ki thi barq-e-KHizan zer-e-naqab

    phul hansne bhi na pae the gulistan jal gaya

    shauq-e-manzil mein junun ki garm-raftari na puchh

    rah ke kanTon ki kya hasti bayaban jal gaya

    jhum kar su-e-chaman aaya to kya barsa to kya

    aashiyan to kab ka ai abr-e-bahaaran jal gaya

    hashr ke din rahmat-e-haq ne liya aaghosh mein

    zauq-e-isyan par mere zahid ka iman jal gaya

    dekh 'qaisar' ye hai gulshan mein maal-e-fasl-e-gul

    ghunche ghunche ka gulistan mein gareban jal gaya

    Source:

    Tufan-o-Sahil (Pg. 113)

    • Author: Qaisar Amravatwi
      • Edition: 1958
      • Publisher: Abdul Hafeez Khan
      • Year of Publication: 1958
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now