Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aas ke dip ba-juz tere bujha baiThe hain

Zulfiqar Ahsan

aas ke dip ba-juz tere bujha baiThe hain

Zulfiqar Ahsan

MORE BYZulfiqar Ahsan

    aas ke diip ba-juz tere bujhā baiThe haiñ

    dar pe tere jo liye harf-e-duā baiThe haiñ

    dil to pahle gayā thā tirī āvāz ke saath

    tujh ko dekhā hai to āñkheñ bhī gañvā baiThe haiñ

    tujh se ma.ānī taqāzā bhī nahīñ kar sakte

    dil shāḳhoñ se bhī alfāz uḌā baiThe haiñ

    saath chalne se gurezāñ haiñ isī vāste ham

    dhoka pahle bhī kisī shaḳhs se khā baiThe haiñ

    ab to chahkeñge ḳhamoshī meñ bhī lafzoñ ke parind

    tere hoñToñ muñDeroñ pe jo aa baiThe haiñ

    tum ko aanā jo nahīñ thā to batā dete

    ham yūñhī ghar ke dar-o-bām sajā baiThe haiñ

    ham bhī kyā log haiñ taz.īn-e-chaman ḳhātir

    bel ākās peḌoñ pe chaḌhā baiThe haiñ

    ham sulagte haiñ kisī aur chitā meñ 'ahsan'

    apne dāman meñ koī aag chhupā baiThe haiñ

    aas ke dip ba-juz tere bujha baiThe hain

    dar pe tere jo liye harf-e-dua baiThe hain

    dil to pahle hi gaya tha teri aawaz ke sath

    tujh ko dekha hai to aankhen bhi ganwa baiThe hain

    tujh se maani ka taqaza bhi nahin kar sakte

    dil ki shaKHon se bhi alfaz uDa baiThe hain

    sath chalne se gurezan hain isi waste hum

    dhoka pahle bhi kisi shaKHs se kha baiThe hain

    ab to chahkenge KHamoshi mein bhi lafzon ke parind

    tere honTon ki munDeron pe jo aa baiThe hain

    tum ko aana jo nahin tha to bata hi dete

    hum yunhi ghar ke dar-o-baam saja baiThe hain

    hum bhi kya log hain tazin-e-chaman ki KHatir

    bel aakas ki peDon pe chaDha baiThe hain

    hum sulagte hain kisi aur chita mein 'ahsan'

    apne daman mein koi aag chhupa baiThe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now