Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aas mein kaTe bis baras aur yas mein kaTe bis baras

Ayaz Rasool Nazki

aas mein kaTe bis baras aur yas mein kaTe bis baras

Ayaz Rasool Nazki

MORE BYAyaz Rasool Nazki

    aas meñ kaaTe biis baras aur yaas meñ kaaTe biis baras

    kuchh na pūchho ham ne kaise kaaTe haiñ chālīs baras

    jis ne ham ko ishq sikhāyā jis se samjhe saare gur

    us umr thī sola satrah apnī thī ikkīs baras

    aate jaate har mausam meñ us jaadū qaa.em hai

    biis baras se dekh rahā huuñ lagtī hai unnīs baras

    merā jism bhī suukh chalā hai niil ke sāhil jaisā khet

    mulk-e-sulemāñ par lahrā bādal bin bilqīs baras

    āḳhir shab meñ saare momin resha resha bhiig ga.e

    zāhid jitne ḳhushk bache haiñ un pe iblīs baras

    ham ko bichhḌe kitne guzre saal batā duuñ ai kashmīr

    tere sola mere sola hote haiñ battīs baras

    aas mein kaTe bis baras aur yas mein kaTe bis baras

    kuchh na puchho hum ne kaise kaTe hain chaalis baras

    jis ne hum ko ishq sikhaya jis se samjhe sare gur

    us ki umr thi sola satrah apni thi ikkis baras

    aate jate har mausam mein us ka jadu qaem hai

    bis baras se dekh raha hun lagti hai unnis baras

    mera jism bhi sukh chala hai nil ke sahil jaisa khet

    mulk-e-suleman par tu lahra baadal bin bilqis baras

    aaKHir shab mein sare momin resha resha bhig gae

    zahid jitne KHushk bache hain un pe tu iblis baras

    hum ko bichhDe kitne guzre sal bata dun ai kashmir

    tere sola mere sola hote hain battis baras

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now