Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasan hai kisi nahr ka patthar se nikalna

Uma Shankar Shadan Gwaliori

aasan hai kisi nahr ka patthar se nikalna

Uma Shankar Shadan Gwaliori

MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori

    āsāñ hai kisī nahr patthar se nikalnā

    āsāñ nahīñ un dil-e-muztar se nikalnā

    dariyā mirī fitrat hai samundar hai mirī zaat

    dekhe koī dariyā samundar se nikalnā

    har chand ki hai shīsha-o-sāġhar meñ bahut kuchh

    achchhā hai magar shīsha-o-sāġhar se nikalnā

    zulmat hai tirā niiñd āġhosh meñ jaanā

    ik nūr-e-sahar hai tirā bistar se nikalnā

    aaseb se aaseb haiñ duniyā nazar meñ

    hamrāh mujhe le ke tum ghar se nikalnā

    ātish se to ātish ko bujhāyā nahīñ jaatā

    mumkin nahīñ amn ḳhanjar se nikalnā

    auroñ tamanna mirī fitrat nahīñ 'shādāñ'

    ruknā hai na ghabrā ke barābar se nikalnā

    aasan hai kisi nahr ka patthar se nikalna

    aasan nahin un ka dil-e-muztar se nikalna

    dariya meri fitrat hai samundar hai meri zat

    dekhe koi dariya ka samundar se nikalna

    har chand ki hai shisha-o-saghar mein bahut kuchh

    achchha hai magar shisha-o-saghar se nikalna

    zulmat hai tera nind ki aaghosh mein jaana

    ek nur-e-sahar hai tera bistar se nikalna

    aaseb se aaseb hain duniya ki nazar mein

    hamrah mujhe le ke hi tum ghar se nikalna

    aatish se to aatish ko bujhaya nahin jata

    mumkin hi nahin amn ka KHanjar se nikalna

    auron ki tamanna meri fitrat nahin 'shadan'

    rukna hai na ghabra ke barabar se nikalna

    Source:

    (Pg. 55)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now