aasaniyon ki rah khuli mushkilon ke baad
āsāniyoñ kī raah khulī mushkiloñ ke baa'd
ghar lauTnā nasīb huā gardishoñ ke baa'd
aise hī nā-umīd nahīñ ho ga.e haiñ ham
aayā hai ye maqām bahut koshishoñ ke baa'd
jaate nahīñ ham ab haram-o-dair kī taraf
is rāste pe aa.e haiñ gumrāhiyoñ ke baa'd
fauran qubūliyat kā sharaf baḳhshte nahīñ
vo baat mānte haiñ baḌī minnatoñ ke baa'd
sargoshiyāñ sunā.ī na deñ kyoñ bhalā hameñ
suunā huā hai dil kā makāñ raunaqoñ ke baa'd
rahtā hai 'umr bhar vo tumhārī tarah 'sha'ūr'
jo aadmī sañbhal na sake Thokaroñ ke baa'd
aasaniyon ki rah khuli mushkilon ke ba'd
ghar lauTna nasib hua gardishon ke ba'd
aise hi na-umid nahin ho gae hain hum
aaya hai ye maqam bahut koshishon ke ba'd
jate nahin hum ab haram-o-dair ki taraf
is raste pe aae hain gumrahiyon ke ba'd
fauran qubuliyat ka sharaf baKHshte nahin
wo baat mante hain baDi minnaton ke ba'd
sargoshiyan sunai na den kyon bhala hamein
suna hua hai dil ka makan raunaqon ke ba'd
rahta hai 'umr bhar wo tumhaari tarah 'sha'ur'
jo aadmi sanbhal na sake Thokaron ke ba'd
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 127)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.